Monday, June 29, 2015

Naraaz thoda khud se hi...


Naraaz thoda khud se.. Khud se hi bhikhra bhi hu..
Udaas thoda khud se.. khud se hi toota bhi hu...
Hai khamoshi chehre pe.. muskan bhi khoi si hai..
Raaston pe ujaale nahi.. raat bhi soyi si hai..
Gumsum si saason mein kahin.. khwaab ek dhundhla sa hai..
Khud jo dekha aaina.. yeh dil kahin sehma sa hai..
Darr raha hai anzaam se.. aagaz jiska tha kiya..
Jaane kaisi rah thi woh.. tha jispe woh chal diya..
Yaar mere tu saath de de.. hai akela batak raha..
Jindagi ki saanso mein hai kuch toh yaha atak raha..
Ghut na jaaye yeh kahin.. tu aake isko saans de..
jindagi abhi bahut hai baaki.. aake isko aas de..
teri hi dost hai jarurat.. tujhko hi bas mangta..
Mana mushkil tere liye hai.. par tu hi toh bas janta..
Tune hi wada kiya tha saath na chodega tu..
Saath hi di thi kasam bhi ki wada na todega tu..
ek nayi si jindagi se tune hi milwaya hai..
aaj aake tham le tu yeh dil jara bauraya hai..
Aaj hai bas aaj hai yeh.. kal kahin hoga nahi..
Chah kar bhi tere aage ruk yeh fir sakega nahi..
chala gaya jo ek baar fir.. dhundh ke thak jayega..
Rok le, de le awaaz.. yeh tera hai ruk jaayega... yeh tera hai ruk jayega...

Yeh Rooomani Mausam...


Ae mausam itna romani na ho..
Humare haatho ko thamne wali abhi aayi nahi hai..
Thaam le apni boondon ko zara ae baarish..
Ki jo bhegegi sang mere, woh abhi tak aayi nahi hai..
Ho jaana mad-mast uss pal mein jab..
Hum kahin kinare ek saath khade ho..
Barasna jee bhar ke uss din jab..
Kahin woh paas hokar thoda door khadi ho...
ki bheegne ke darr se kahin woh fir se paas aa jayegi..
bheegi palkon se hume dekh muskurayegi..
uss din ae mausam tujhe main salaam karunga..
apne ishq ka kalaam ter naam karunga..
Ae mausam itna romani na ho..
Ki humaare haatho ko thaamne waali abhi aayi nahi hai.....


Monday, November 24, 2014

Usse khone kaa darr naa tha kabhi,
Usse paane ki shiddat jada thi,
Woh bas khayalon mein hi naa rahe,
Woh ibadat mein moujood jada thi,
naa chahat thi na jaroorat thi,
bas aadat mein meri woh jada thi,
naa hua pura na hoga kabhi,
mere dil ne kiya woh wada thi,
usse khone ka darr naa tha kabhi,
bas usse paane ki shiddat jada thi..........


usse bhool jaane ki koshish bahut ki thi maine,
par uski aankhon ki jhalak, meri koshishon pe umaada thi,
tha yakeen khud pe mujhe ki zindagi ko paa lunga,
par uski "NAA" ki tadap, meri mehnaton se jada thi,
aaj woh chal diye hain hokar kisi aur ke,
khush hain aaj bhi, kyunki kahin usski muskurahat humaare aansuon se jada thi......................

usse khone ka dar na tha kabhi, bas paane ki shiddat jada thi......................
usse khone ka dar na tha kabhi, bas paane ki shiddat jada thi......................!!!!

kaha tha kisi ne, ki naa woh humko yaad karenge..
na kabhi milne ki humse koi fariyaad karenge..
humne kaha parwah nahi, bas itna bata dijiye..
ki aap humare dil ko apne khayalon se kaise azaad karenge.....

kyun ki aaj bhi aapke khayal, kuch is kadar aate hain..
din ke chand lamhon mein, kuch aise tadpate hain..
ki jab hota hai yakeen ki hum bhool chuke hain tumhe..
bas tabhi tumhaara khayal woh phir se dohrate hain......

Aisa nahi ki kabu khud pe karna nahi aata hai..
par kya kare yeh bechara dil kabhi kahin bhatak jaata hai..
masum hai yeh aur thoda chor bhi..
jana hota hai mandir toh girja nikal jata hai........

waise galti toh iski bhi kahi nahi jaa sakti..
kuch fitrat aapke khyaalon ki kuch aadat humaari aisi hai..
ki mandir aur girja mein fark karna nahi aaya..
aur kuch unn khayalon ki ruh mere rab ke jaisi hai........
Aksar baithe kinare pe, dekh kashtiyon ko yeh sochta hu...
main bhi kabhi yuhi majdhaar mein akele nikal jaun...
saath ho na ho kinara, kahin door ho aaun...
jahan har koi anjana ho, ek anjani si muskurahat ho...
jahan koi apna na ho.. apne pan ki bas aahat ho...
jahan se wapas aana chahu, jahan jaa ke tum sabko bulau..
.par darta hun sabke fir aa janee se, usske yaha jaise ban jane se...
ajeeb si kashmkash ka shikar ho chala hun...
bina anaar main bechara bimaar ho chala hun...
haha.. khud mein hasta hu aaj, khud mein hi khush hone laga hu...
usss jagah ke khayaalon mein akele hi khone laga hun...
seekh gaya hun kahin, main akela hi bole toh best hun....
duniya chahe jitni aage jaaye.. main better than rest hun...
jaane yeh yun kyu likha hai maine, haan kuch hai dil mein jo kaha maine...
jaanta hun tum samajh jaaoge, ki aksar yuhi baith ke kinare pe, dekh ke kashtiyon ko majdaar mein kya sochta hun....
kaise jaane ki yahan se chale jaane ki chah ko.. bas tumhari muskurahat ke liye rokta hu..
jaanta hu tum samajh jaaoge.......


Main khada hu wahin jahan tune haath chudhaya tha...
Main khada hun wahin jahan tune meri dhadkan ko churaya tha...
Main khada hun wahin jahan se tu muh oher ke chali gayi thi...
Main khada hun wahi jahan teri nazar do pal tahar gayi thi...
Main ruka hun wahin jahan yaadein humari hai...
Main ruka hun wahi jahan gunjti baatein hamari hain...
Ussi khamoshi ke saaye mein hun jisme teri aankhein nam thi...
Aur Ussi ped ke saaye mein hun jahan teri aahen kam thi...

sab kuch waisa hi hai aaj bhi magar, kuch kami si lagti hai...
intezaar mein bhi maza nahi aa raha, kuch hai toh hai jiski waja se nasha nahi cha raha...
naa janu ki khush rrahu yaa ruku teri khatir...
naa janu tujhe chahu yaa nafrat karne lagu..
na naraz hun tujhse naa khafa hi hun main..
par jaane kaise tujhe rama sa hun main..
tune toda hai kuch mujhme yeh sach hai magar..
tune choda hai akela yeh bhi sach hai magar..
kahin akelepan mein maja aa raha hai..
na tadap na chahat man khud mein gunguna raha hai....
par jane kyu fir bhi khada hun main wahin jana tune haath chudaya tha.....
yeh yaadon ke palchin so barish se lagte hain,
kabhi pyaar se tapakte hai, kabhi bauchar se lagte hai,
Kabhi madham hawa sa khush kar jaate hai, kabhi jo andhi toofan se lagte hain,
kabhi bas gila karne ko aate hain, aur kabhi hum unme hi nahaye se lagte hain...
yeh yaadon ke palchin so barish se lagte hain...


woh barish jo ek chaate mein do ko paas laati hai,
aur woh baarish jo car ki khidki se jhakti hai..
woh barish joh kaach pe resham si sarakti hai,
aur woh barish to jo ous ki boondon mein samitti hai..
haan haan wahi barish jisme doston ke saang naachte aur gaate ho,
aur wahi barish jisme chai sang pakode daba ke khate ho,
wahi barish jisme aankhon mein aansu leke chalte ho,
aur haan wahi barish jisme apne haath mein kisi ka haath leke chalte ho..


yeh yaadon ke palchin ussi barish se lagte hain..
kabhi pyaar se tapakte hai, kabhi bbauchar se lagte hai...